Saadat Hasan Manto Reality Of Life l Urdu Quotes

Saadat Hasan Manto Reality Of Life l Urdu Quotes


saadat hasan manto quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

urdu quotes with images

Tum ne kabhi mohabbat ki ho to jano mohabbat udasi ka dosra naam hai har waqt admi khoya khoya sa rehta hai is liye ke is ke dil o dimagh mein sirf khayaal yaar hota hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

ishq aik marz hai aur marz jab tak tole nah pakray, marz nahi hota. mehez aik mazaaq hota hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Aurat se mohabbat karne ka pehla maqsad yeh hota hai ke woh mard ki ho jaye.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Chingari ko shulon mein tabdel kar dena asaan hai magar chingari peda karna bohat mushkil hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~


urdu quotes with images

Har shakhs khuwa woh bara ho ya chhota. apni zindagi mein koi nah koi aisi harkat zaroor karta hai jis par woh tamam Umar nadim rehta hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Hum aurat usi ko samajte hain jo hamaray ghar ki ho. baqi hamaray liye koi aurat nahi hoti bas gosht ki dukan hoti hai aur hum is dukan ke bahar kharray kutton ki terhan hotay hain, jin ki hawas zada nazar hamesha gosht par tiki rehti hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Aurat ka dosra naam hararat hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Mard bhi kya ajeb shai se, biwi mein tawaif jaisi adayey aur tawaif mein biwi jaisi wafadari talash karta hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Mein us muashray mein rehta hon jahan umoman barray gharon mein chhotey log rehtay hain aur chotey gharon mein barray log rehtay hain.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~



urdu quotes with images

Jis terhan baaz bachay waqt se pehlay peda hotay hain aur kamzor rehtay hain. isi terhan woh mohabbat bhi kamzor rehti hai jo waqt se pehlay janam le.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Haath chore dainay walay ki apni aziat hai aur haath churava lainay walay ki apni kahani hai lekin is amal mein mohabat yatem ho jati hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Jo log Rohani, zehni aur jismani lehaaz se tandrost hain, asal mein unhi ke liye shayar shair kehta hai, afsana nigaar afsana likhta hai aur musawir tasweer banata hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Hamari tahrerein aap ko karvi aur kisi li lagti hain magar ab tak jo methasay aap ko paish ki jati rahi hain, un se insaniyat ko kya faida hwa hai? name ke pattay karvae sahi magar khoon zaroor saaf karte hain.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Ghalat car insaan nahi woh halat hain jin ke khaiton mein insaan

ghalatiyan peda karta hai aur phir un ki faslein katta hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Gunah aur sawab, saza aur jaza ki bhool bhuliyan mein phas kar admi kisi maslye par thanday dil se ghhor nahi kar sakta.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Mukhtasir alfaaz mein zindagi ke mutaliq sirf yahi kaha ja sakta hai

ke yeh aik aah hai jo wah mein lapait kar di gayi hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Agar hum mandaron, masjidoon ka zikar kar saktay hain to un qahba khanoon ka zikar kyun nahi kar satke jahan se wapsi par kayi insaan mandaroon masjidoon ka rukh karte hain.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Masjid mein dio-bandi, shiah , soni, wahabi cinema mein aik zaat.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Mein ne aisi fiza mein parwarish payi hai jahan apni khwahisat ka dabana bohat bara sawab khayal kya jata hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Yeh bhi to sachhi baat hai ke barray shehar insaaniyat ke murqad madfan hotay hain.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Kabhi kabhi sochta hon mein apni ankhen band kar bhi lo, magar apne zameer ka kya karoon?

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Jism dagha ja sakta hai magar

rooh nahi daghi ja sakti.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Woh log bewaqof hotay hain jo samajte hain ke bandoqon se mazhab

shikaar kiye jasaktay hain. mazhab, deen, dharam, yaqeen, aqeedat. .

yeh jo kuch bhi hai hamaray jism mein nahi hai, rooh mein hota hai .

charray chako aur goli se yeh fana nahi ho sakta.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Aik aurat ke muamlay mein hum yaqenan baap aur

beta nahi hain, sirf mard hain aur bas!

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Mein aksar sochta hon ke dard mandi ke is jazbay

ne mujhe kaisay kaisay dukh pohanchaye hain.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Khaali pait ka mazhab

roti hota hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Chor ne cheeni ki bori churaie aur hadsati tor par kunvey mein gir gaya. laash nikaali gayi to kunvey ka pani meetha tha. sath hi qabar par chadaway charhne lagey aur kunvey ka pani Shifa bakhash qarar paaya.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Jahan tak mein samjhta hon koi cheez ghair fitri nahi hoti.

insaan ki fitrat mein buray se bora aur achay se acha

feal mojood hai. is liye yeh kehna na durust hai ke insaan

ka falan feal ghair fitri hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Bara dukh hota hai ke mohazab duniya zillat ki duldul mein dhuns gayi hai. science ki taraqi jari rahi hai, lekin ikhlaqi zimma daari ka ehsas kam hota chala gaya hai. noo insani jahan thi, wahein ki wahein khari hai. aur nasli imtiaz aur mazhabi adawat barhti gayi hai .

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Mard ki nafsiati khwahish ki maang aurat hai.

~ Saadat Hasan Manto Quotes ~

urdu quotes with images

Manto ne aurat ki nafsiat aur fitri jazbaat-o-himmat par bohat

kuch likha hai, aur aurat ke liye aik jumla ko ke anmol kaha :

aurat kabhi bad soorat nahi hoti.

urdu quotes with images
Yeh Manto hi tha jo tawaif ke andar chhupi aurat dhoond nikalte ka hunar jaanta tha aur mujrim mein insaniyat bar amad kar laita tha. yeh woh hi tha jo fard ke zahir o batin ko jor kar aik haqeeqi, magar chonka dainay wali haqeeqat dikhaane mein kamyab hwa.





Post a Comment

Previous Post Next Post

ads