Top 15 Molana Jalal Uddin Rumi Quotes in Urdu - Hindi
Ay log! bohat se shetan khaslat soofiyon ki shakal mein mojood hain. is liye bait mein hargiz jaldi nah karo~ RUMI ~
Allah walon ki baatein sukoon qalb ataa karti hain aur ahal zahir ki baatein dil mein inteshaar aur be itmenani peda karti hain~ RUMI ~
Har shar aur aib bi apni paidaiesh ke lehaaz sehikmat ka haamil hai~ RUMI ~
Koi naaqis alzahan kisi kaam ke maqam ko nahi samajh sakta~ RUMI ~
Kitney hi muttaqi ho jayo magar nafs se kabhi be fikar nah hona~ RUMI ~
Qurb e khudawandi ka husool baqa mein Muzmer hai. lekin baqa sepehlay hona zaroori hai~ RUMI ~
Allah taala jab kisi fard ki aib poshi karna chahta hai to usay mayoob logon ke aib par bhi baat nah karne ki tofeq bakhash deta hai~ RUMI ~
Jab Allah taala kisi ki ruswai chahta hai to is ko pak logon par laan taan karne ki taraf mael karta hai~ RUMI ~
judai ka aik lamha bhi ashiq ke nazdeek aik saal ke barabar hai~ RUMI ~
jo ishq sirf rang-o-roop ki khatir hota hai woh darasal ishq nahi balkay fisq hai aur is ka injaam sharmindagi aur ruswai ke siwa kuch nahi~ RUMI ~
Jab bemaar ki qaza aati hai to tabeb bhi bewaqoof ho jata hai~ RUMI ~
kutta chahay kitna hi tarbiyat Yafta ho jaye magar is ki gardan se zanjeer allag na karo~ RUMI ~
Ahmaq ki dosti aur is ki mohabbat se deen aur duniya dono hi ka khoon hota hai~ RUMI ~
ilm ki talwar lohay ki talwar se ziyada assar rakhti hai. balkay fatah haasil karne mein ilm senkron lashkar se ziyada moasar hai~ RUMI ~
Raat ko so jane ke baad qaidi qaid khanaay ki takleef se aur badshah apni saltanat aur doulat ke ehsas se be khabar ho jatay hain~ RUMI ~
Post a Comment