Top 10 Deep & Wise Quotes in Urdu
Jab gharelo faisla karne ke liye bahar ke bande ki zarorat par jaye to samajh len aap ka khandan barbaad ho chuka hai.
~ Deep & Wise Quotes ~
Rishton ko fursat ki nahi sab se ziyada tawajah ki zarorat hoti hai.
~ Deep & Wise Quotes ~
Duniya mein sab se bhayanak aawaz is aulaad ki hai jo cheekh kar aur bad-lehazi se apne walidain se baat karti hai.
~ Deep & Wise Quotes ~
Har bhichar jane wala rishta hamaray jism mein aik ehsas ko murda kar jata hai kuch log hamara yaqeen maar jatay hain, kuch pyar, kuch aetmaad aur kuch hamari khusihyan.
~ Deep & Wise Quotes ~
Dil dikhane par bhi jo shakhs aap se shikayat nah kere is shakhs se ziyada mohabbat ko yi nahi kar sakta.
~ Deep & Wise Quotes ~
Bohat se rishte khatam honay ki wajah yeh bhi hoti hai aik sahi bol nahi pata aur dosra samajh nahi pata.
~ Deep & Wise Quotes ~
Jo rishte hamari taqat hotay hain aksar wohi hamari kamzore bhi hotay hain rishta khoon ka ho ya ehsas ka is mein zid nahi aani chahiye warna zid jeet jati hai aur rishta haar jata hai.
~ Deep & Wise Quotes ~
Bewaqof mard, aurat ko kehta hai ke chup karo aur aqalmand mard aurat ko kehta hai, khamoshi tum par bohat jachti hai.
~ Deep & Wise Quotes ~
Mukhlis. woh nahi jo mun par aap ka ho balkay mukhlis woh hai jo aap ke peeth peechay bhi aap ka hi ho.
~ Deep & Wise Quotes ~
Rishton ki baqa ke liye rabtey zarori hain kyunkay bhool jane se tu apne hathon se lagaye darakht bhi sookh jatay hain.
~ Deep & Wise Quotes ~
Rishte zarorat ke hon to kabhi khushi nahi dete aur jazbat ke hon to kabhi sath nahi chortay.
~ Deep & Wise Quotes ~
Yaad rakhen larai khatam ho jati hai lekin woh sab jo aap larai ke douran kehte hain khatam nahi hota.
~ Deep & Wise Quotes ~
Masail wahan se shuru hotay hain jab hum aik dosray se baat karne ki bajaye aik dosray ke baray mein batein karna shuru kar dete hain.
~ Deep & Wise Quotes ~
Post a Comment