70 Deep & Wise Quotes in Urdu
Jo ghti nahi karta woh farishta hai jo ghti kar ke datt jaye woh shetan hai aur jo ghalti kar ke tauba kar le woh insaan hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Usay kaho ke apna khaas khayaal rakha kere. mana ke sansen uski hain par jaan to hamari hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Jinhon ne izat deeni hoti hai woh sir se chadar nahi khanchtay balkay naam ke sath naam jorhte hain taakay izzat sanjhi ho.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Tumhari zabaan ki wajah se agar koi be sukoon ho jaye to yaad rakho keh tum zaalmon mein se ho.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Aurat sab kuch maaf kar deti hai lekin agar thaan le to apni aankh se niklay ansoo kabhi maaf nahi karti.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Aurat shak kere to mard hans kar taall deta hai lekin agar mard shak kere to aurat ro ro kar toot jati hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Jab koi tumhe bewajah rulay to apne ansoo is yaqeen ke sath saaf kar lena ke zindagi ke kisi mour proh tum se ziyada roye ga.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Hamsafar ka intikhab zindagi agar kabhi meharban ho kar kisi shakhs ke intikhab ka mauqa day to apne liye hamesha aik zimma daar shakhs ka intikhab karen. kyun ke aik zimma daar insaan khoob soorat insaan honay se kahin behtar hota hai. yeh mohabbat o habbat sab qissay kahaaniyon mein achay lagtay hain. jab zindagi ki talkh haqeeqaton se paala parta hai na. to yeh mohabbat sab se pehlay ghar ki khirkion aur roshan daano se bhaagti hai haqeqteen barri dil kharaash hoti hain.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Aurat ko mard ke kapray ya khoubsurti nahi balkay mard ki khud itmadi pasand hoti hai aur woh is par mar metti hai. . .
Deep & Wise Quotes in Urdu
Aurat ke husn ki tareef is ke robaroo karna yeh izhaar jazbaat ka woh sab se pehla tareeqa hai jo hamein himmat aur usay mohabbat karna sakata hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Mohabbat ka koi traazo nahi hota parwah batati hai ke pyar kitna hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Guzarte lamhoon mein sadiyan talaash karta hon
pyaas itni hai ke nadyaan talaash karta hon
yahan par log ganwaa te hain khoobiyan apni
mein apne aap mein khamiyan talaash karta hon
Deep & Wise Quotes in Urdu
Chalne walay doo peeron mein kitna farq hai. aik agay aur aik peechay magar nah to agay walay ko ghuroor aur nah peechay walay ki tauheen kyunkay inhen pata hai ke pal bhar mein yeh badalny walay hain aur isi ko zindagi kehte hain.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Manzil pana to bohat daur ki baat hai ghuroor mein raho ge to rastay bhi nahi dekh payo ge.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Mujhe tairay liye tarapty hue bas mere kkhuda ne dekha hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Hum itnay bhi nahi badlay ke bhool jayen apnon ko jab koi muntazir hi nah ho to rabita acha nahi lagta.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Kehte hain kisi ke ghar roz jane se izzat kam ho jati hai lekin woh wahid Allah ka ghar hai jahan roz jane se izzat bohat barh jati hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Aurat ka pyar us chashmay ki manind hai jo kabhi khushk nahi hota.
Deep & Wise Quotes in Urdu
kisi ko us ke maazi par ruswa karne se pehlay soch lo, is ka maazi tumahra mustaqbil bhi ban sakta hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Aurat mohabbat ke muamlay mein amar bail ki terhan hai jo har so phail kar mohabbat phailati hai apne bachon mein, khandan mein magar mohabbat ke darakht pay lapat kar is ko apne shikanjay mein rakhti hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Behtareen dinon ke liye bad tareen dinon se larna parta he.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Logon ki baatein patharon ki terhan hain. un ko peeth par laadh lo ge to yeh peeth toot jaye gi. un ko apne qadmon taley aik burj bana lo to un par charh kar buland hotay jao.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Aksar log alfaaz aur khayalat ka zakhera honay ke bawajood khamosh rehtay hain kyunkay woh un logon se behas nahi karna chahtay jin se poori shiddat se mohabbat karte hain.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Zindagi ki saari bulandion rab ke agay jhuknay se millti hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Girgit mahol dekh kar rang badalta hai aur insaan mauqa dekh kar...!
Deep & Wise Quotes in Urdu
Bohat pyare aur bohat nayaab hotay hain woh log jo aap ke peechay aapka difaa karte hain aur aap ko ilm bhi nahi hota.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Har rukawat mein koi nah koi behtari chhupi hoti hai jo Allah tak le jaye woh thokar saza nahi hoti.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Doo cheeze ikhlaq ki wazahat karti hain. aap ka zarf jab aap ke paas kuch bhi nah ho aur aap ka rawayya jab aap ke paas sab kuch ho.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Gham chootey admi ko toar deta hai agar gham mein gham dainay walay ka khayaal rahay to phir insaan bohat buland ho jata hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Har aziat ki aik muayana muddat hoti hai, jis ke guzar jane ke baad nah to dard ki shiddat pehlay jaisi rehti hai aur nah usay sehney wala insaan pehlay jaisa rehta hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Aisay bano ke tum nahi balkay log tumhe khonay se dareen.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Dosron ko samjhana mushkil ho jaye to khud ko samjha lena behtar hota hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Duniya ki saari cheeze thokar lagnay se toot jati hain magar sirf insaan woh cheez hai jo thokar lagnay ke baad bantaa hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
ibadaten aur taqadus apni jagah lekin logon ka dil dikha ke jannat nahi millti.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Logon ko waqt den mauqa den izzat den lekin kisi se talluq ki bheg nah mangain.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Par sukoon woh hai jis ko kam ya ziyada ki fikar nahi.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Rishte aur sheeshay dono hi insani ghaflat se toottay hain hamein yeh yaad rakhna chahiye ke sheeshay ka mutabadil mil jata hai magar rishte ke mutabadil rishte nahi mlitay.
Deep & Wise Quotes in Urdu
insaan ki auqat to bas itni ke woh nah to dukh se bhaag sakta hai aur nah hi khushi ko khareed sakta hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Zindagi mein agar dukh milein to ghabraana nahi chahiye kyunkay har dukh insaan ko sabaq sikahnay ke liye aata hai aur har sabaq insaan ki zind gi ko badal deta hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Darta hon aajkal kisi ko apna raaz bitanay mein kyunkay waqt nahi lagta logon ko ab kisi ke dard ka mazaaq bananay mein.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Jab faislay asman se hon to zameen walon ki waqalat nahi chalti.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Namaz matti se banay insaan ko sona bana deti hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Zindagi mein is qader taizi se agay badho ke logon ki buraie ke dhagay tumahray peron mein akar toot jaye.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Mehnat karo kamyaab honay ke liye nahi balkay apni pehchan bananay ke liye.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Sooraj ki kiranen zameen par parney se pehlay neend se uth jaya karo kyunkay is waqt rizaq taqseem kya ja raha hota hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
is shakhs ko koi nahi badal sakta jis shakhs ko apne andar koi ghalti nazar nahi aati.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Barri tapish hai yeh apne gunaho ki
shehar ka mausam Khushgawar nahi hota
din bhar karte hain nafraten insaan se
aur kehte hain raazi parvar digaar nahi hota
Deep & Wise Quotes in Urdu
Aap ko is aurat ke sukoon ka andaaz nahi jis ki pehli aur akhri mohabbat is ka khawand hi ho.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Ap kisi ko bhi zabardasti 2 kamon ke liye majboor nahi kar satke aik mohabbat dosra ibadat 2on dil se hoti hain aur dono ka rishta rooh se jura hota hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Mard ki dosti mard se achi lagti hai aurat ke sath to mard ka nikah acha lagta hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Jin mardon ki mithaas sirf ghar ke bahar tak hi rehti hai. un mardon ki biwiyan jawani mein hi boorhi hojati hain.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Koi tumhara dil dukhaay naraaz mat hona kyunkay qudrat ka qanoon hai jis darakht ka phal ziyada meetha hota hai log pathar bhi isi ko maartay hain.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Chotey chotey sheckwon se barray barray rishte kamzor ho jatay hain.
Deep & Wise Quotes in Urdu
khaak ho jata hai insaan khaak se banay insaan ke peechay.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Apne dukh dard khud apne sath bantna seekho. koi bhi apna nahi hota. log sirf tamasha karte hain.
Deep & Wise Quotes in Urdu
kaanton ki reh guzar pay tum sath ho to humdam har dukh bhi khobsorat, har dard bhi Hussain hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Mujhe bhi sikha do bhool jane ka hunar mujh se raton ko aoth aoth kar roya nahi jata.
Deep & Wise Quotes in Urdu
jazbati hona, gussa kar jana, choti choti baton ko dil par le jana, jald ro dena, yeh sab aik saaf insaan ki nishani hoti hai, is ki wajah jasbaate mein shiddat hona hai, yeh sab khoobiyan kisi munafiq mein nahi payi jati inka talluq un logon se hota hai jo rishton ko dimagh se barh kar dil se chahtay hain.
Deep & Wise Quotes in Urdu
yeh talkhiyan yeh azyatain meri rooh mein yun utar gayeen mein shehad se kab zeher bana meri zaat mujh se ulajh gayi.
Deep & Wise Quotes in Urdu
jab mohabbat aur nafrat aik hi insaan se ho jaye to usay bhulana bohat mushkil ho jata hai.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Kisi bhi aurat ke liye yeh munasib nahi ke woh apni mohabbat sabit karne ke liye kisi ko apne jism tak rasai day.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Asal mohabbat to yahi hai ke jaisi bhi talkhi ho jaye kitni bhi shiddat ki narazgi ho jaye magar apne dil melay nah kiye jayen anaa ki deewar nah taamer ki jaye.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Jis shakhs se tumhe mohabbat ho jaye is ki akhirat ke baray mein socha karo kay usay kis terhan behtar banaya jaye yaahi tumhari mohabbat ki sab se barri Daleel ho gi.
Deep & Wise Quotes in Urdu
Aurat jab mohabbat ke safar mein ankhen band kar ke chalti hai to mard is ki ankhen khol deta hai kabhi dhaka day kar aur kabhi dhoka day kar. .
Deep & Wise Quotes in Urdu
Post a Comment