Top 20 Best Ashfaq Ahmed Quotes in Urdu
Shadeed dukh hota hai jab hum kisi par andha yaqeen karen aur woh saabit kar day ke waqai andhay hain.
Ashfaq Ahmed Quotes About Dhoka
Aik din hum sab aik dosray ko yeh soch kar kho den ge ke jab woh yaad nahi karta to mein usay kyun yaad karoon.
Ashfaq Ahmed Quotes Relation
Bardasht ke sath halaat zaroor badal jayen ge bas zara andar hi andar muskurany ki zaroorat hai yeh aik raaz hai jo school, universition aur deegar idaron mein nahi sikhaya jata.
Ashfaq Ahmed Quotes in Urdu
Mein ne apni zindagi mein chand baatein sekhen maa baap ke ilawa koi wafadar nahi izzat sirf paisay ki hai insaan ki nahi ghareeb ka koi dost nahi banta.
Ashfaq Ahmed Quotes About Mother
Jab khonay ki nobat aati hai tab panay ki qeemat samajh aati hai.
Ashfaq Ahmed Quotes Relation
Wafa ka talluq mard ya aurat se nahi is ka talluq tabiyat, tarbiyat aur niyat se hai.
Ashfaq Ahmed Quotes About Aurat
is mard ki auqaat aik kuttay ke barabar hai. jisay dekh kar aik aurat apna rasta badal le.
Ashfaq Ahmed Quotes About Aurat
insaan aik aisa ghaafil mansoobah saaz hai ke woh apni saari planning mein kabhi apni mout ko shaamil hi nahi karta.
Ashfaq Ahmed Quotes in Urdu
Kabhi apni chaal ka elaan mat karo jab tak tum is ko chal nah lo.
Ashfaq Ahmed Quotes Motivational
Fatiha logon ke marnay par nahi, ehsas ke marnay par padni chahiye, kyunkay log mar jayen to sabr aa jata hai magar ehsas mar jaye to muashra mar jata hai.
Ashfaq Ahmed Quotes Relation
Kitna khobsorat ehsas hai ke hum allah taala se apne dil ki baat karte hain aur woh sab kuch pehlay se jaanta hai lekin phir bhi hamein sunna chahta hai.
Ashfaq Ahmed Quotes About Allah
Subah ki neend insaan ke iraadon ko kamzor karti hai. manzlon ko haasil karne walay kabhi der tak soya nahi karte.
Ashfaq Ahmed Quotes Motivational
Jab ankhon se sajday behnay lagen to qabuliat ke samandar mein zaroor halchal hoti hai.
Ashfaq Ahmed Quotes About Allah
Zindagi aakhirkaar hamein rulaa hi deti hai chahay phir hum maa baap ke kitney ladle hi kyun nah hon.
Ashfaq Ahmed Quotes About Life
Kisi ka dil cheer kar to hum ne dekha nahi hota magar waqt aur tajurbah yeh andaza karna to sikha deta hai ke kon dil se kuch kar raha hai aur kon sirf zabaan se.
Ashfaq Ahmed Quotes Relation
jis Chhaon se izzat e nafs zakhmi ho is Chhaon se dhoop hi behtar hai.
Ashfaq Ahmed Quotes in Urdu
Woh deen kisi ko kya nuqsaan pohanchaye ga jis mein rastay se pathar hataane par bhi sawab milta ho.
Ashfaq Ahmed Quotes About Allah
Jis din yeh samajh jayen ge ke samnay wala ghalat nahi, sirf uski soch hum se allag hai is din zindagi se bohat dukh khatam ho jayen ge.
Ashfaq Ahmed Quotes Relation
Post a Comment