Sheikh Saadi Quotes in Urdu
Is se to khamoshi behtar hai ke kisi ko dil ki baat keh karphir se kaha jaye ke kisi se nah kehna.Sheikh Saadi
Apne ikhlaq ko phool jaisa bana loaur kuch nahi to paas bethnay wala khushbu to haasil kere ga.Sheikh Saadi
Jahilon ka tareeqa yeh hai ke jab un ki Daleelmaqabil ke agay nahi chalti to woh larna shuru kar dete hain.Sheikh Saadi
Agar tum Allah ki ibadat nahi kar satketo gunah karna chore do.Sheikh Saadi
Rizq ki kami mein aur zayadtidono hi buraiee ki taraf le jati hai .Sheikh Saadi
Dost woh hai jo dost ka haathis ki pareshani aur tangi mein pokarta hai .Sheikh Saadi
Aqalmand aur bewaqoof mein kuch nahi kuch aib zaroor hota haiaqalmand apne aib khud dekh laita hai aur bewaqfoon ka aib duniya dekhatii hai.Sheikh Saadi
Aisay dost se haath dho lena behtar haijo tairay dushmanon ke sath baithta hon.Sheikh Saadi
Din ki roshni mein rizaq talaash karoraat ko usay talaash karo jo rizaq deta hai .Sheikh Saadi
Na ahal ki tarbiyat karnagunbad par akhrot rakhnay ke manind hai.Sheikh Saadi
Aasmaa par nigah zaroor rakhomagar yeh mat bhulo ke paown zameen par hi rakhay jatay hain.Sheikh Saadi
Apne hissay ka kaam kiye baghair dua par bhrosa karna hamaqat haiaur apni mehnat par bhrosa kar ke dua se guraiz karna taqqabur hai.Sheikh Saadi
Mein nay aik nay ek shakhs ko darya ke kinare dekha jis ko aik cheetay nay zakhmi kar diya tha .aur is ka zakham kisi dawa se achchca nah hota tha aur woh arsa daraaz se is takleef mein mubtala tha magar har waqt Allah ka shukar ada karta tha.logon nay is se poocha ke shukar kis baat ka ada karte ho, is nay jawab diya ,is liye ke museebat mein mubtala ho nah ke gunah mein.Sheikh Saadi
-------------------------------------------------
Post a Comment