Aakhri Safar Is Zameen Par Honay Wala Yeh Safar l Wasif Ali Wasif Quotes
Jawani ke faislay jawani mein hi bhallay lagtay hain.~ Wasif Ali wasif ~
Duniya ke azeem rehnuma waqt ke diye hue miyaar se buland hotay hain .~ Wasif Ali wasif ~
Har insaan dosray insaan ki zaroorat kakhayaal rakhay to aqaed ka tazaad khatam ho.~ Wasif Ali wasif ~
Hum barray fakhr ke sath islam ka parchaar karte hain lekin hamein is baat kabhi khauf rehta hai ke hum par bunyaad parasti ka ilzaam nah aaye .~ Wasif Ali wasif ~
Bad aadmi badi nah kere tab bhi bad hainaik aadmi neki nah kere tab bhi naik hai .~ Wasif Ali wasif ~
Agar kahin shak bhi ho jaye ke yeh shakhs Allah taalake qareeb hai to is ke qareeb ho jao.~ Wasif Ali wasif ~
Yeh nah pucho ke woh haq se mahroom kyun sun-hwa. tum yeh dekho ketum nay haq se ziyada kyun haasil karliya. tera haasilhi is ki mehroomi ban gaya.~ Wasif Ali wasif ~
Islam sirf riwayaat ka naam nahi sirf ehkaamaur arshadat ka naam nahi. musalmanoon ke mutafiqaamal ka naam bhi islam hai.~ Wasif Ali wasif ~
Is zameen par honay wala yeh safar hamara pehla safarhi dar haqeeqat hamara aakhri safar hai.~ Wasif Ali wasif ~
Darasal Suraj nah kahin se nikalta hai aur nah kahin dobta hai.~ Wasif Ali wasif ~
Barray barron, ki barri barri khidmat karne ki bajayechhote logon ki chothee chothee zaroortpoori kar di jaye.~ Wasif Ali wasif ~
Guzra howa waqea guzarta hi nahi hai. aaj bhi humdin mnaatay hain. aur is din ko aaj ka din kehte hain.halaank ke woh kal ka din tha.~ Wasif Ali wasif ~
Agar ghareeb faqay se mar raha hon toAmeer yaqeenan badhuzmi se maray ga.~ Wasif Ali wasif ~
Khawab ko haqeeqat maan liya jaye to tabeer ki haqeeqataik aur khawab ab ban ke reh jati hai.~ Wasif Ali wasif ~
Mout se bachney ki koshish nay hi insaan ko halaak kardiya hai.~ Wasif Ali wasif ~
Kamyaab muskurahat mein barray aanso panah hotay hain.~ Wasif Ali wasif ~
Neend to mohabbat ka haq hai lekin aaj yeh haq dawai ke baghair nahi milta.~ Wasif Ali wasif ~
Insaan, insaan ka mutalea chore kar kaayenaat daryaft karne chala hai.aur kaayenaat ki azeem o laa-mehdood dosaton mein tanhai ke siwa kya miley ga.~ Wasif Ali wasif ~
Arzoo aur istedad ke farq se hasrat peda hoti hai .~ Wasif Ali wasif ~
Post a Comment