Taaqat Khauf Peda Karti Hai l wasif ali wasif quotes

wasif ali wasif quotes


wasif ali wasif quotes in urdu

Insaan ko jo cheez pasand hai haasil karlay,
ya phir jo haasil hai usay pasand karlay ,
to sukoon mil jata hai.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu
Tareekh ko yaad rakhnay ki bajaye tareekh bananay ki
fikar karna chahiye.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu
Taaqat khauf peda karti hai. khauf nafrat peda karta hai. nafrat had se barh jaye to baghaawat peda karti hai, aur baghaawat taaqat se takra kar usay khatam kar deti hai.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu
Bari qoumain jab taqat ki dhamki deti hain to,
is ka mafhuum mohazab duniya ki mukammal tabahi
ke qareeb hota hai.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu
Neend ke aalam mein yeh janna ke insaan neend ke aalam mein hai,
bohat mushkil hai.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu
Yateem ka maal khanay wala hazaar yateem khanaay banaye
sukoon nahi paye ga.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu
Pait mein aag ho to dil mein sukoon kahan.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu


Agar do aadmi aik dosray ke liye kuch nahi kar satke ya nahi karna chahtay to,
inhen aik dosray ke liye izafi boojh nahi banna chahiye.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu
Allah walay khayaal ke jurm ya khayaal ke gunah ko acha nahi samjhtae.
amal ka gunah to waqt ke sath waisay hi khatam ho jata hai
khayaal ka gunah ghaflat se shuru hota hai aur is ki intahaa kufar taq hai.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu
Neend zindagi ka aik aisa aaina hai.
jis mein mout ka aks dikhayi deta hai.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu
Kisi insaan ke sath aisa sulooq na karo
jo tum apne sath nahi chahtay.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu
Aaj ka ensaan sukoon ki khatir asmano ke darwazay kholnay chala gaya hai.
lekin is se dil ka darwaaza nahi khilta.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu
Khuraak jismani taaqat ke liye zaroori hai,
lekin agar khoraak ka istemaal had se barh jaye to
sehat ki tabahi ki alamat hai.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu
Hum kisi ki dua ki taseer hain.
hamari duayen kisi aur zamane ko assar den gi.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu
Agar khwahish aur haasil ka farq mit jaye to
sukoon mil jata hai.
~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
wasif ali wasif quotes in urdu




1 Comments

Post a Comment

Previous Post Next Post

ads