Quaid e Azam Muhammad Ali Jinnah Quotes #1
Koi bhi faisla lainay se pehlay so baarsoch lau lekin jab faisla le lau, is pay datt jao.( pegham eid ul adha 24 october 1947)Quaid E Azam Mohammad Ali jinah قائداعظم محمد علی جناح
--------------------
Hum jitni ziyada takleifein sehna aur qurbaniyan dena sekhen ge,itni hi ziyada pakeeza, khalis aur mazboot qoum ki hsit seubhrain ge jaisay sona aag mein tab kar kundan ban jata hai.Quaid E Azam Mohammad Ali jinah قائداعظم محمد علی جناح
--------------------
Mein durust faislay lainay par yaqeen nahi rakhta,balkay faisla le kar usay aik behtareen faisla saabit karta hon.Quaid E Azam Mohammad Ali jinah قائداعظم محمد علی جناح
--------------------
Apni tanzeem is tor kijiyej ke kisi par bharosa karne ki zaroorat nah rahay.yahi aap ka wahid aur behtareen tahaffuz hai. is ka yeh matlab nahike hum kisi ke khilaaf bad khawahi ya inaad rakhen. apne haqooqaur mafaad ke tahaffuz ke liye woh taaqat peda kar lijiyeke aap apni mudafat kar saken.( ijlaas muslim league, Lahore 23 March 1940 hamza )Quaid E Azam Mohammad Ali jinah قائداعظم محمد علی جناح
--------------------
Yaqeen, nazm o zabt, aur belos lagan ke sath, duniya ki aisi koi cheez nahi jo haasil nahi ki ja sakti.Quaid E Azam Mohammad Ali jinah قائداعظم محمد علی جناح
----------------------------
Yeh talwar jo aap ne mujhe inayat ki hai, sirf hifazat ke liye utthay gi. lekin fial haal jo sab se zurori amar hai woh taleem hai. ilm talwar se bhi ziyada taaqatwar hai, jayye aur ilm haasil kijiyej.( ijlaas muslim league, queta 3 July 1943 hamza )Quaid E Azam Mohammad Ali jinah قائداعظم محمد علی جناح
------------------------
Ek shakhs ban kar nah geo! balkay ek shakhsiyat ban kar geo kyun ke ek shakhs to mar jata hai lekin shakhsiyat hamesha zindah rehti hai.Quaid E Azam Mohammad Ali jinah قائداعظم محمد علی جناح
-------------------------------
Mere malik ke liye. mere azm ghair mutazalzal hai. aur mein apne malik ke liye. husool azadi ki jad-o-jehad.. mein kisi se haar nahi manu ga. . mein aik baaml aadmi hon.( jamea usmaniya 28 decemeber 1938 hamza )Quaid E Azam Mohammad Ali jinah قائداعظم محمد علی جناح
---------------------------
Musalman jhuknay ke liye peda nahi hwa. agar usay jhukanay ki koshish ki. to Babar ban jaye ga. yeh tipo sultan ki soorat mein namodaar hoga. yeh mar jaye ga lekin mehkoomi qubool nah kere ga.( calcutta muslim league ka ijlaas 16 April 1938 hamza )Quaid E Azam Mohammad Ali jinah قائداعظم محمد علی جناح
------------------------
Umeed achi rakho, lekin tayari buray halaat kay hisaab se karo.Quaid E Azam Mohammad Ali jinah قائداعظم محمد علی جناح
------------------------------
Islami talemaat ki Derkhshandah riwayat o adbiyat is amar par Shahid hai ke ke duniya ki koi qoum jamhoriat mein hamara muqaabla nahi kar saki. jo apne mazhab mein bhi jamhoori nuqta nazar rakhtay hain.Quaid E Azam Mohammad Ali jinah قائداعظم محمد علی جناح
---------------------
Hum ney Pakistan haasil karliya. lekin yeh hamaray maqsad ki ibtida hai, abhi hum par barri zimma dariyan hain. husool Pakistan ke muqablay mein, is malik ki taamer par kahin ziyada koshishen sirf karni hai, aur is ke liye qurbaniyan bhi deeni hain.Quaid E Azam Mohammad Ali jinah قائداعظم محمد علی جناح
----------------------
Jad-o-jehad sirf musalmanoon hi ke liye makhsoos nahi hai. balkay is ka dastarkhawan har firqa ke liye bichaa hwa hai aur woh har firqay ke haqooq ke tahaffuz ko apna farz awleen samjhti hai .( calcutta muslim league ka ijlaas 17 April 1938 hamza )Quaid E Azam Mohammad Ali jinah قائداعظم محمد علی جناح
جزاک اللہ
ReplyDeletemust read makafat e amal quotes
ReplyDeletePost a Comment