Hazrat Ali Quotes In Urdu Key To Success everywhere
Aqal mand ki adat hai ke woh zarorat ya daleel ke baghair baat nahi karta.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Imaan is ka naam hai ke insaan musebat mein sabir aur nemat par shukar guzaar rahay.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Allah taala ki ibadat mein mashgol hona barri mufed tijarat hai
aur us ki rehmat ka tallabgar rehna ala darjay ki kamyabi hai.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Zuhad ( ruq jana ) us ka naam hai ke jo cheez mojod ho jab tak
woh khatam nah ho kisi dosri cheez ki talab nah kere.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Hasid ko kisi se dosti nahi aur khaeen ( dhoka baz ) se kabhi wafa nahi hoti.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Sab se pehli ibadat yeh hai ke insan musebat mein
sabr kere Allah taala ki taraf se madad ka muntazir rahay.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Aqal jis ko naseb ho ss ke wastay zeenat,
aur ilm jo us par amal kere us ke liye hadayat hai.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Khwahish parasti aik posheda magar mohlik bemari hai.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Yeh duniya aik muqarara waqt tak rahay gi aur akhirat hamesha tak.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Safai pak nafos ki khaslat hai. aur parhaiz gari
haram kamon ke irtikaab se rokti hai.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Roozi woh cheez hai, jo is ko talash nah bhi kere us ko bhi pahonch jati hai.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Jo shakhs sair shikam ( pait bhara hwa ) ho kar soye usay jhutay aur pareshan khawab nazar atay hain.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Sakhavat yeh hai ke tum apna maal kharch karo aur dosray ke maal par nazar nah rakho.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Tawakkal yeh hai ke admi apni qowat aur taqat se hatt kar taqdeer Ellahi par raazi rahay.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Be andaz mal bhi, agar israf aur fuzool kharchi
se istemal kya jaye to thora aur na kafi hota hai.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
ilm aur amal dono sath sath hain, pas jisay ilm hasil ho woh amal bhi kere.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Duniya ko kharedna be waqof logon ki tijarat hai.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Zindagi ke har mour par sulah karna sikho kyunkay jhukta wohi hai
jis mein jaan hoti hai akarna to murdy ki pehchan hoti hai.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Aadat par ghalib ana, kamal fazelat hai.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
Dozakh bilashuba un logon ka maqam hai jo naik kamon mein kotahi karte thay.
~ Hazrat Ali Quotes In Urdu ~
"This is a Really good quotation of Hazrat Ali keep it up"
ReplyDeletesad Hazrat Ali Quotes
Post a Comment