30 Deep & Wise Quotes in Urdu
Aapka kirdar hi apki pehchan hai,warna aik naam ke lakhon insan hain.~ Deep & Wise Quotes ~
Jaisa sulooq to makhlooq khuda se kere ga waisa hi sulooq khuda tairay sath kere ga . ( Sheikh saadi )~ Deep & Wise Quotes ~
Har tareek raat ke baad subah ne namodaar hona hi hai is liye purumeed raho, Allah pak ko pur-umeed log bohat pasand hain. ( Ibn Rashd )~ Deep & Wise Quotes ~
Kamyabi koi hadsa nahi hoti, kamyaab mehnat, mustaqil mizaji, seekhnay, parhnay, qurbani aur sab se barh kar jo kaam tum kar rahay ho is se pyar karne ka naam hai. ( Bill Gates )~ Deep & Wise Quotes ~
-------------------------
-------------------------
Kisi aur ki naqal karte hue kamyaab honay se behtar hai. aap apne idea par amal karte hue feel ho jaien. ( Harman )~ Deep & Wise Quotes ~
Ghulam qoum ke miyar bhi ajeeb hotay hain sharef ko bewaqoof, makkar ko chalak, qatil ko bahadur aur maldar ko bara admi samjhti hai. ( Molana Abaidullah Sindhi )~ Deep & Wise Quotes ~
Behtareen badla yeh hai ke tum inhen aur ziyada kamyaab ho kar dekhao.~ Deep & Wise Quotes ~
Mushkilat ka pathar tarashney ke baad jo hera nikalta hai woh kamiyabi hai. ( Walt Disney)~ Deep & Wise Quotes ~
insan se mohabbat wohi kar sakta hai jis par khuda meharban ho.( Wasif Ali Wasif )~ Deep & Wise Quotes ~
-------------------------
-------------------------
Un logon ke liye kamyab ho jo tumhe nakaam dekhna chahtay hain.( Bill Gates )~ Deep & Wise Quotes ~
Yeh duniya bhi ajeeb hai, yahan jo terha ho usay chore diya jata hai, aur jo seedha ho usay thook diya jata hai.~ Deep & Wise Quotes ~
Tanha reh len magar apna miyaar mat grayin izzat ke baghair mohabbat ka koi wujood nahi.~ Deep & Wise Quotes ~
Bana kitabon ke jo ilm seekha jaye usay zindagi kehte hain.~ Deep & Wise Quotes ~
Kisi ki yaad mein jagne wala, kabhi budqismat nahi ho sakta kisi ke dard mein ronay wala duniya ke hazaar ha gamoon se azad hojata hai. ( wasif Ali wasif )~ Deep & Wise Quotes ~
ibadat wahan nahi pohanchati jahan gham pohanchata hai.( wasif Ali wasif )~ Deep & Wise Quotes ~
-------------------------
-------------------------
Saari lazat rastay ki hai, manzil ki nahi.~ Deep & Wise Quotes ~
To nafs ki tamana karne mein masroof hai aur woh tujhe barbaad karne mein. ( Hazrat Sheikh Abdul Qadar jelani )~ Deep & Wise Quotes ~
Insaan logon mein apni tareef apni zabaan se karna chahta haiyahi is ki bad tareefi hai. ( Wasif Ali Wasif )~ Deep & Wise Quotes ~
Jis ne kabhi ghalti nahi ki is ne kabhi koinai baat talaash nahi ki. ( Einstein )~ Deep & Wise Quotes ~
Tabdeeli asaan nahi magar hamesha mumkin hoti hai.apni islaah ke liye khud ko tabdeel karte ho. ( Barak Obama )~ Deep & Wise Quotes ~
Duniya mein aana asaan hai lekinis se chhutkara paana mushkil. ( Sheikh saadi )~ Deep & Wise Quotes ~
-------------------------
-------------------------
Baaz auqat manzar ghalat nahi hota, ain mumkin hai hamara andaaz nazar hi ghalat ho. andaaz nazar badleen , manzar badal jaye ga. ( Rabia Basri )
~ Deep & Wise Quotes ~
Un bewaqufo ko azad karana mushkil hai,jo apni zanjeeroon ki izat karte hain.~ Deep & Wise Quotes ~
Agar kuch allag karna hai to bheer se hat kar chalo, bheer himmat to zaror deti hai magar shanakht chean layte hai.~ Deep & Wise Quotes ~
Hazrat Ali (R.A) se poocha gaya kekaisay pata chalay ga ke kon kitna qeemti hai?farmaya: jis mein jitna ziyada ehsas hogawoh itna hi ziyada qeemti hoga .~ Deep & Wise Quotes ~
Jab taleem ka bunyadi maqsad nokari ka husool ho to muashray mein nokar hi peda hotay hain rehnuma nahi. ( Mafqul )~ Deep & Wise Quotes ~
Aurat ki aik khoobi hai woh mohabbat insaan se shuru karti hai, aur khuda par khatam kar deti hai.~ Deep & Wise Quotes ~
-------------------------
-------------------------
Jab saya qad se bara aur batein auqaat se bari honay lag jayen to samajh jayen Sooraj ghuroob honay wala hai.~ Deep & Wise Quotes ~
Baaz auqat manzar ghalat nahi hota, ain mumkin hai hamara andaaz nazar hi ghalat ho. andaaz nazar badleen , manzar badal jaye ga. ( Rabia Basri )~ Deep & Wise Quotes ~
kuch rishte chhenk ki terhan hotay hainidhar khatam hue, idhar alhamdulillah parh li.~ Deep & Wise Quotes ~
insaan ki rooh ki asal kefiyat gham hai,
khushi aik earzi shai hai. ( Allama Iqbal )
~ Deep & Wise Quotes ~
Bardasht karo to buzdil, samna karo to bad tameez. ( Aflatoon )~ Deep & Wise Quotes ~
اُردو بلیٹن چوبیس گھنٹےمیں دنیا بھر کی دلچسپ خبروں کو نشر کرنے والی، حقائق اور تصدیق شدہ علمی اور ادبی موضوعات پر مبنی مواد کو شائع کرنے والا پلیٹفارم ہے. مختصرعرصے میں اپنی ایک علیحدہ منفرد حیثیت اور مقام بنانے والی اُردو بلیٹن ویب سائٹ معرض وجود میں آچکی ہے
ردحذفthank you
حذفExcellent work author.
ردحذفmust read Tahajjud quotes in urdu
ردحذفإرسال تعليق