wasif ali wasif quotes
Insaan ko jo cheez pasand hai haasil karlay,ya phir jo haasil hai usay pasand karlay ,to sukoon mil jata hai.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Tareekh ko yaad rakhnay ki bajaye tareekh bananay kifikar karna chahiye.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Taaqat khauf peda karti hai. khauf nafrat peda karta hai. nafrat had se barh jaye to baghaawat peda karti hai, aur baghaawat taaqat se takra kar usay khatam kar deti hai.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Bari qoumain jab taqat ki dhamki deti hain to,is ka mafhuum mohazab duniya ki mukammal tabahike qareeb hota hai.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Neend ke aalam mein yeh janna ke insaan neend ke aalam mein hai,bohat mushkil hai.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Yateem ka maal khanay wala hazaar yateem khanaay banayesukoon nahi paye ga.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Pait mein aag ho to dil mein sukoon kahan.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Agar do aadmi aik dosray ke liye kuch nahi kar satke ya nahi karna chahtay to,inhen aik dosray ke liye izafi boojh nahi banna chahiye.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Allah walay khayaal ke jurm ya khayaal ke gunah ko acha nahi samjhtae.amal ka gunah to waqt ke sath waisay hi khatam ho jata haikhayaal ka gunah ghaflat se shuru hota hai aur is ki intahaa kufar taq hai.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Neend zindagi ka aik aisa aaina hai.jis mein mout ka aks dikhayi deta hai.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Kisi insaan ke sath aisa sulooq na karojo tum apne sath nahi chahtay.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Aaj ka ensaan sukoon ki khatir asmano ke darwazay kholnay chala gaya hai.lekin is se dil ka darwaaza nahi khilta.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Khuraak jismani taaqat ke liye zaroori hai,lekin agar khoraak ka istemaal had se barh jaye tosehat ki tabahi ki alamat hai.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Hum kisi ki dua ki taseer hain.hamari duayen kisi aur zamane ko assar den gi.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
Agar khwahish aur haasil ka farq mit jaye tosukoon mil jata hai.~ Hazrat Wasif Ali Wasif ~
I love wasif ali wasif💖💖
ردحذفإرسال تعليق