Benjamin Franklin Quotes in Urdu

 

Benjamin Franklin Quotes

Benjamin Franklin Quotes in Urdu


Benjamin Franklin Quotes
Jahil hona sharam ki baat nahi
seekhne ki koshish na karna asal besharmi hai
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Aadha sach aksar aik bohat bara jhoot hota hai
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Jo sabr kar sakta hai, woh sab kuch kar sakta hai
~ Benjamin Franklin ~

Benjamin Franklin Quotes
Jab bhi aap pani ki geherai napna chahtay hain to
kabhi bhi dono peeron ka istemaal na karen
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Tayari mein nakaam honay ka matlab hai ke
aap nakaam honay ki tayari kar rahay hain
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
aap ruk satke hain, lekin
waqt aap ke liye nahi rukta
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Jo kuch bhi ghusse mein shuru hota hai
woh sharmeem par khatam hota hai
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Agar aap chahtay hain ke aap ko faramosh na kiya jaye to kuch likho jo parha jaye, agr ya nah ho sakay to koi aisa kaam karo jo likha jaye
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
yeh hamari ankhen nahi balkay doosron ki ankhen hain jo hamein barbaad karti hain. agar siwaye mere tamam duniya ke log andhay hotay to mein kabhi umdah libaas aur khushnuma samaan ki parwah na karta
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Neki ka aghaz mushkil aur injaam bakhair hota hai. barkhilaf is kay ke badi ibtada mein lazeez aur injaamcar takleef da hoti hai
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Dost banane mein dheeme rahiye aur badlay mein aur bhi
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Agar koi shakhs kamyab hona chahay tu aose aik khaas kaam ikhtiyar karna chahiye aur isi mein dil-o-jaan se lagey rehna chahiye
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Paisay ne insaan ko aaj tak kabhi khush ni keya aur na to yeh kabhi ho ga. insaan ke paas jitni ziyada doulat hogi, is ki chahat is se ziyada ki ho gi. aik khwahish poori honay ki bajaye aik nai khwahish peda ho jati hai
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Har shakhs yeh sabit karne ki koshish mein masroof hai ke mein tum se behtar hon
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Agar tumhre naseeb soye hue hain to kuch muzaika nahi magar tum apni baydaari ko mat chhorro
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Makhloqaat mein insaan ne sab se ziyada qawaneen qudrat ki khilaaf warzi ki hai
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Teen dost wafadar hotay hain boorhi biwi, boorha kutta aur naqad raqam
~ Benjamin Franklin ~
Benjamin Franklin Quotes
Paon ki laghzish ke baad to sambhala ja sakta hai lekin zabaan ki laghzish ke baad sambhlna namumkin hai.
~ Benjamin Franklin ~

Post a Comment

أحدث أقدم

ads