6th September Defence Day Poetry
Shahedan watan ke hauslay thay deed ke qabil
wahan par shukar karte thay jahan par sabr mushkil tha
~ 6th September Pakistan Defence Day ~
Dil se niklay gi nah mar kar bhi watan ki ulfat
meri matti se bhi khushbowayn wafa anay gi
~ 6th September Pakistan Defence Day ~
Sarfaroshi ki tamana ab hamaray dil mein hai
dekhna hai zor kitna bazoye qaatil mein hai
~ 6th September Pakistan Defence Day ~
Roti nahi kabhi shahidon se lapat kar
yeh hosla mere watan ki maaon mein hai
~ 6th September Pakistan Defence Day ~
Uqaabon ke tasallut par fizayen fakhr karti hain
khudi ke raaz daano par duayen fakhr karti hain
batan se jin ke betay peda hon Mahmod aalam se
woh dharti sir uthati hai woh maaen fakhr karti hain
~ 6th September Pakistan Defence Day ~
Watan ke jaan Nisar hain watan ke kaam ayen ge
hum is zamee ko aik roz asma banayen ge
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Koe hamein kya khak maray ga
hum to tallab-gaar hotay hain subah o shaam shahadat ke
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Dilon mein hub watan hai agar to aik raho
nikharna yeh chaman hai agar to aik raho
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Mein chup tha ke... barbaad nah hojaye Gulshan ka sukon
nadaan yeh samajh baithy ke mujh mein qowat lalkaar nahi
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Watan ki sir zamee se ishhq o ulfat hum bhi rakhtay hain
khatakti jo rahay dil mein woh hasrat hum bhi rakhtay hain
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Hum uthay hue Sooraj se milatay hain nazrain
hum guzri hui raat ka maatam nahi karte
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Hum jab talwar ke qabzay mein kalayi den ge
tairay ajdaad bhi qabron se duhai den ge
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Hum shaheen hain pahoron ke hum ghulami nahi karte
sir qalam bhi ho jaye par hum kabhi sir jhukaya nahi karte
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Jo mukhalif hwa ke chaltay hain paair apne daba ke chaltay hain
un sheron ki yeh aadat hai sir hamesha uttha ke chaltay hain
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Ghalat nahi zamane mein lajawab hain hum
samajh nah sakay koi aisi kitaab hain hum
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Taal nah satke thay agar jung mein urr jatay thay
paaon shero ke bhi maidan se akhar jatay thay
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Khoon dil day ke nikharen ge rukh barg ghulaab
hum ne Gulshan ke tahaffuz ki qisam khayi hai
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Doo name un ki thokar se sehraa-o-darya
simat kar pahar un ki Haibat se rai
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Jawani ki mout kis ko pasand hai sahib
faqat hum nah mrin ge to tum kaisay geo ge
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Auqaat nahi ankh se ankh milane ki
aur log naam mitanay ki baat karte hain
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Martay hain utthay hain par kabhi jhukatey nahi
ae mere watan, tairay yeh laal kabhi bektay nahi
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Kabhi parcham mein liptay hain, kabhi hum ghazi hotay hain
jo ho jati hai maa raazi to betay raazi hotay hain
kya dar, kya wahm, kya khauf usay, jis pusht pay laakh duayen hon
ho jin ke lahoo mein behti wafa, phir samnay laakh bulayen hon
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Husn ki tareef nahi chahay mujh ko
mujhe apne se ziyada is wardi pay maan hai
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Nazar daali agar to ne mere arz-pak par
hamara wada hai dushman teri hasti mita deingay
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Woh jin ke nasebon mein apnon se doori hai
woh jo hamaray kal ke liye aaj qurbaan kar rahay hain
un be-los sipahiyon ko salam
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Dushman kitni bhi sazishain kar len. afwaj
Pakistan se qoum ki la zawaal mohabbat kam nahi
kar satke
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Mein jhuka nahi mein bakka nahi
kahin choup chhupa ke khara nahi
jo datay hue hain mahaaz par
mujhe un safoon mein talaash kar
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Auqaat nahi thi zamane ki ke hamari qeemat laga satke
watan se ishhq kya hum ne aur muft mein nelaam ho gaye
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Bharam rakh kar mohabbat ka wafa ki shaan ban jao
watan par jaan day kar is watan ki jaan ban jao
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Kisi ne kasar nah choari hamein mitanay ki
khuda khud Muhafiz raha hamaray har zamane mein
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
So jao azeezo ke fasilon par har ik simt
hum log abhi zindah-o-bedaar kharray hain
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Hamari khaak se khushbu watan ki aaye
hamara khoon is matti ke rang mein shamil hai
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Yun to har rang jajta he barabar hum par
magar yonifam mein atay hain to chaa jatay hain
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Har roz yahi tayari ki hai
mein ne mout se yaari ki hai
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Hamaray naam se hon gi riwaytain zindah
hamaray hissay mein parcham wafa ka aaya hai
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Hum to apne hunar mein aaj bhi dam rakhtay hain
urr jatay hain rang logon ke
jab hum mehfil mein qadam rakhtay hain
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Aay pak watan, yeh waqt gawahi day ga
jaan vari thi jaan waaray ge
tujhe apne lahoo se sanware ge
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Toot sakta hon magar jhokna nahi Manzoor hai
haan mein Pakistani fouji hon mujhe is baat
ka fakhr hai
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Yeh wardi ka bharam hai ke
pehnta aam sa larka hai par lagta shehzada hai
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Hum se hum kalaam hona to adab-o-adaab se hona
lehjey ki talkhioun ko hum mun pay maar dete hain
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
Unki sadgi unki ajzi unki har ada kamaal hai
mujhe fakhr hai mujhe naz hai
meri pak fouj be misaal hai
~ 6th September Pakistan Defence Day Poetry ~
I was looking for defense day shayari and I visit this blog and its really amazing.
ردحذفإرسال تعليق