Beautiful Poetry On Mother In Urdu | Best Maa Quotes
Maa ki dua khaali nahi jati. is ki bud-dua bhi taali nahi jati
bartan manjh kar bhi maa. teen chaar bachay paal layte hai
magar teen char bachon se. aik maa pali nahi jati
~ Maa Quotes ~
Meri kamyabion meri mazilo ki taalib
har pal duayen maangti jo mere wastay hai
meri maa
~ Maa Quotes ~
Woh meri budsulooki pay bhi mujhe dua deti hai.
agosh mein le ke sab gham bhala deti hai
yun lagta hai jaisay jannat se aa rahi ho khushbu.
jab woh apne Palu se mujhe hwa deti hai
mein agar karoon anjanay mein koi ghalti.
meri maa is par bhi muskandeti hai
kya khoob banaya hai rab ne rishta maa ka.
weraan ghar ko bhi jannat bnaditi hai
maa ke baad mera kon sahara hai.
yahi soch mujhe kabhi kabhi rulaa deti hai
~ Maa Quotes ~
Meri khoshion ki mere dukh sukh ki saathi woh pyari si hasti hai meri maa
~ Maa Quotes ~
Meri maa ki duwan se pareshan hai mera dushman woh jab bhi waar karta hai to khanjar toot jata hai
~ Maa Quotes ~
Un ki duwan mein jab shamil ho naam tumhara
ban jaye gi rehmat kkhuda ki muqaddar tumhara
maa ko khafa jo zindagi mein kardiya tum ne
phir bhatko gai bohat aur thamay ga nah koi haath tmhara
chaho bhi to nah pasako gai tum manzil ka pata
maa ki dua se ho khaali jab maan tmhra
jab tak raho maa se mohabbat tum karte rehna
baharen dekhen gi khud phir rasta tumhara
dua hai maa ki mamta ho naseeb sab ko
roshan hai ghar isi se hamara, tumhara
~ Maa Quotes ~
Aisi hasti jo apne liye dua karna
bhool sakti hai par apni aulaad ke liye dua karna
nahi bhulte woh maa kehlati hai
~ Maa Quotes ~
Pyari ammi teri khushbu nahi millti. tera lehja nahi milta hamein to shehar mein koi tairay jaisa nahi milta
~ Maa Quotes ~
Dhoop mein baap jalta hai aur cholhe par maa jalti hai tab ja kar uolada palti hai
~ Maa Quotes ~
Jab bikhar kar mein gira tarap ke is ne seenay se lagaya jahan mein mohabbat ka matlab maa ne samjhaya
~ Maa Quotes ~
Maa aisi hasti hai jo khud ke mun mein niwala daalnay se pehlay apni aulaad ke mun mein daalti hai
~ Maa Quotes ~
Sannata chha gaya btware ke qissay mein jab maa ne pocha mein hon kis ke hissay mein
~ Maa Quotes ~
Maa ke liye sab ko chore dena lekin sab ke liye maa ko mat chhorna kyunkay jab maa roti hai to firshton ko bhi rona ajata hai
~ Maa Quotes ~
Mat nazar andaz karna amma ki taklifo ko jab yeh bichrtee hai to resham ke takeyon par bhi neend nahi aati
~ Maa Quotes ~
Ujre baghoon mein bahhar nahi aati
sokhey phoolon mein nikhaar nahi aata
guzar jati hai zindagi angaron par
maa bhichar jaye to baar baar nahi aati
~ Maa Quotes ~
Maa ki dua waqt to kya
naseeb bhi badal deti hai
~ Maa Quotes ~
Jab hamein bolna nahi aata tha to
hamari maa bolay bana samajh jati thi
aur aaj hum har baat par kehte hain
chorro maa aap nahi samjoge
~ Maa Quotes ~
Maa aik aisa mohabbat karne wala aur
wafadar rishta hai jo apni aulaad ki khatir
apne bhai behnoon se bhi larnay par
amaada ho jati hai
~ Maa Quotes ~
Maa woh takhti hai jis mein aulaad kuch bhi likh sakti hai magar maa sirf mohabbat hi likhti hai
~ Maa Quotes ~
Kabhi waqt miley to apne walidain ke cheharon par dekhna tumhara mustaqbil banatay banatay woh khud kitna toot gaye hain
~ Maa Quotes ~
Aaa apni aulaad ko sab kuch sekhati hai siwaye apne baghair jeeney ke
~ Maa Quotes ~
Maa ke baghair ghar soona hai
to baap ke baghair zindagi
~ Maa Quotes ~
Jannat to sabhi mangte hain par mili hui jannat ki koi qader nahi karta
~ Maa Quotes ~
Dawa agar kaam nah aaye to nazar bhi atarti hai yeh maa hai sahib yeh kahan haar manti hai
~ Maa Quotes ~
Zindagi mein ronaqe maa baap se hoti hai un ke jane ke baad chahay jitni bhi asaishen hon chehray par yateemi aa hi jati hai
~ Maa Quotes ~
Bhai jaan konsa template use Kiya Hy plss iss number per WhatsApp per Baat kro please
ردحذف+923170331542
bhai ap SunehrayAlfaaz Fb par ya Instagram par baat krlo
ردحذفmust read father day quotes
ردحذفإرسال تعليق