Ashfaq Ahmed Best Quotes Collection
Insaan bari dilchasp makhlooq hai yeh janwar ko museebat mein dekh kar bardasht nahi kar sakta lekin insaan ko museebat mein dekh kr khosh hota hai.
Ashfaq Ahmed
Duniya mein kabhi kisi achay insaan ki talaash mat karna balkay khud achay ban jao ho sakta hai aap ke is kaam se kisi aur ki talaash khatam ho jaye.
Ashfaq Ahmed
Jis muashray mein sab chalta hon ho phir woh muashra mushkil se hi chalta hai.
Ashfaq Ahmed
Hum Allah ko aik mantay hain lekin Allah ki aik bhi nahi mantay.
Ashfaq Ahmed
Dosron ki tawaquat ke mutabiq zindagi busr karne ki wajah yeh hoti hai ke hum dartay hain ke dosra hamein chore hi nah day.
Ashfaq Ahmed
Waqt se pehlay aur qismat se ziyada kabhi nahi milta.
Ashfaq Ahmed
Aksar logon mein taqqabur hota hai lekin un ka nafs un ko pata nahi chalne deta.
Ashfaq Ahmed
Aksar log apni guftagu se agar gheebat, bohtan aur aur tohmat nikaal den to baqi sirf khamoshi reh jati hai jo ke aik behtareen ibadat hai.
Ashfaq Ahmed
Bhari hui jaib se duniya ka pata chalta hai aur khaali jaib se apnon ka.
Ashfaq Ahmed
Mein jaanta hon mein kuch to hon hon kyun kay
mera rab jab koi cheez bekar nahi banata.
Ashfaq Ahmed
--------------------------------------------------------------
إرسال تعليق