Jaun Elia 2 Lines Poetry
ik shakhs se hazaar talluq ke bawajod
aisa howa ke hum koi wada nah kar sakay
hum aik dosray se mohabbat ke bawajod
hum aik dosray ki tamanna nah kar sakay
~ Jaun Elia Poetry ~
Marna to is jahan mein koi hadsa nahi
is dour nagawaar mein jeena kamaal hai.
~ Jaun Elia Poetry ~
Hum jaisay dilbaro ko jahannum mein daal kar
baithy raho bahisht ko viran kiye hue.
~ Jaun Elia Poetry ~
Waqt ke rastay se hum tum ko
aik hi sath to gzrna tha
hum to jee bhi nahi sakay ik sath
hum ko to aik sath marna tha
~ Jaun Elia Poetry ~
kis terhan chore dun tumhen janan
tum meri zindagi ki adat ho
~ Jaun Elia Poetry ~
itna to janta hon ke ab teri arzoo
bekar kar raha hon, agar kar raha hon mein
~ Jaun Elia Poetry ~
Aap rotay hain yaad kar ke mujhe?
chorhiye na mazaq ki batein
~ Jaun Elia Poetry ~
Aaj jee bhar ke dekh le mujh ko
waqt se hain bohat gilaay tujh ko
~ Jaun Elia Poetry ~
woh mujhe bhool bhi to sakta hai
uss ka imaan to nahi hon mein
~ Jaun Elia Poetry ~
jo likhay jatay rahay ouron ke naam
mere woh khat bhi tumahray naam hain
~ Jaun Elia Poetry ~
Zamana tha woh dil ki zindagi ka
teri furqat ke din laoun kahan se
~ Jaun Elia Poetry ~
Tum ko apnaya tha tum ko chore bhi sakta hon
bott banata hi nahi hon bott toar bhi sakta hon
~ Jaun Elia Poetry ~
Mera libaas tha woh shakhs
rakiboon ko mubarak ho utran hamari
~ Jaun Elia Poetry ~
Kisay hai khwahish marham giri magar phir bhi
mein apne zakham dikha lon agar ijazat ho?
~ Jaun Elia Poetry ~
Ab teri chaah se rukhsat talabb hon mein
iss baar to mere dil se sach mach utar gaya
~ Jaun Elia Poetry ~
Bus mujhe yun hi ik khayal aya
sochti ho, to sochti ho kya
~ Jaun Elia Poetry ~
Mujh ko yeh hosh hi nah tha to marey bazuwoon mein hai
yani tujhe abhi talak mein ne raha nahi kya
~ Jaun Elia Poetry ~
Shikwah yeh hai ke woh bhi woh nikla
hai nedamat ke hum bhi hum niklay
~ Jaun Elia Poetry ~
Har haal mein hansnay ka hunar paas tha jin ke
woh ronay lagey hain tu koi baat to hogi
~ Jaun Elia Poetry ~
Mere saray rang utar gaye
mere saray khawab bikhar gaye
~ Jaun Elia Poetry ~
Neend aayi hi nah raat bhar mujh ko
khawab baithy rahay kitaron mein
~ Jaun Elia Poetry ~
Koi haasil nah tha arzoo ka magar
saneha yeh hai ke ab arzoo bhi nah rahi
~ Jaun Elia Poetry ~
Dil-e-barbad yeh khayal rahay
uss ne gaisu nahi sanware hain
~ Jaun Elia Poetry ~
woh bhi parhta nahi hai ab dil se
hum bhi naalay ko num nahi karte
jurm mein hum kami karen bhi to kyun
tum saza bhi to kam nahi karte
~ Jaun Elia Poetry ~
Phir us ke baad
kisi shai mein dil kashi nah rahi
~ Jaun Elia Poetry ~
إرسال تعليق