Hazrat Luqman Hakeem Ki 15 Naseehatain
Poori duniya mein aik hi shakhs hai jo aap ki zindagi badal sakta hai aur woh aap khud hain.
~ Hakeem Luqman ~
Insan ko sab ziyada taklef hi tab millti hai jab woh ghalat insaan se apni zindagi ki saari sahih umeden jor laita hai.
~ Hakeem Luqman ~
Lalach se bachcho kyunkay yeh hamesha ki faqeeri hai.
~ Hakeem Luqman ~
Suni sunai baat dekhi hui baat ke barabar nahi hoti.
~ Hakeem Luqman ~
Doulat taqsm ki jaye to kam hoti hai ilm bnta jaye to barh jata hai.
~ Hakeem Luqman ~
Jis nemat mein shukar hai is ko zawaal nahi hai
aur jis nemat mein kufar hai is ko baqa nahi hai
~ Hakeem Luqman ~
Bachpan ka ilm pathar ki lakeer hota hai.
~ Hakeem Luqman ~
Insaan ke teen hissay hain
1. un mein se aik Allah ka
2. dosra apna
3. teesra keeron ka
jo hissa Allah ka hai woh rooh hai
jo hissa apna hai woh amal hai
jo hissa keeron ka hai woh jism hai
~ Hakeem Luqman ~
Tauba mein der nah kro kyunkay
mout achanak ajati hai.
~ Hakeem Luqman ~
Allah se bakasrat mughfirat manga karo. nah jane kon si ghari baaisay qabuliat ho.
~ Hakeem Luqman ~
Dost se raaz ki baat mat keh ho sakta hai kal woh tumhara dushman ban jaye.
~ Hakeem Luqman ~
Mein ne bolnay par baar ha afsos kya hai.
magar khamosh rehne par kabhi afsos nahi howa.
~ Hakeem Luqman ~
Hamesha sach ko apna pesha bana lo jo shakhs jhoot bolta hai is ka chehra be ronaqe ho jata hai.
~ Hakeem Luqman ~
Aqalmand ko apne ghar mein bachay ki terhan aur
apni qoum mein mard ki terhan rehna chahiye.
~ Hakeem Luqman ~
Mukhlis rishton ko majaburiyon mein bhi
zaya nah honay den kyunkay
majboori to khatam ho jaye gi lekin
rishte dobarah nahi jarain ge.
~ Hakeem Luqman ~
Har shakhs sacha dost talaash karta hai
lekin khud sacha dost ban'nay ki zahmat nahi karta.
~ Hakeem Luqman ~
إرسال تعليق