Best Maa Quotes l Beautiful Poetry On Mother In Urdu

 

Maa Quotes

Best Maa Quotes l Beautiful Poetry On Mother In Urdu


maa quotes in urdu
Maa aik aisi hasti hai jo ho to aangan mein bahar ajati hai aur jo nah ho to tamam tar ronaqe ke bawajood ghar weraan lagta hai ~ MAA ~
maa quotes in urdu
Lafz maa suntay hi dil-o-dimagh aisay tar-o-taaza ho jatay hain jaisay barish banjar zameen ko tar-o-taaza kar deti hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa woh hasti hai jo nafarman aur badkaar aulaad ko bhi
apne saya shafqat aur mamta ki thandak se mahroom nahi karti
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa woh hasti hai jis ki peshani pur noor, aankhon mein thandak, alfaaz mein mohabbat, agosh mein duniya bhar ka sukoon hathon mein shafqat aur peeron taley jannat hai
~ MAA ~

maa quotes in urdu
Ujrre baghon mein bahar nahi aati
sokhey phoolon mein nikhaar nahi aati
guzar jati hai zindagi angaron par
maa bhichar jaye to baar baar nahi aati
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Hazrat moosa alaihi salam apni maa ki wafaat ke baad Allah taala se humkalam honay ja rahay thay ke rastay mein thokar lagnay se girnay hi lagey thay ke ghaib se aawaz aayi "ae moose! sambhal kar chal ab tairay peechay dua karne wali maa nahi hai"
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa woh hasti hai jo apne Khoon jigar se aulaad ko paalti hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa woh hasti hai jo apni aulad ke aaram ki khatir
apna chain sukon qurbaan karti hai
~ MAA ~


maa quotes in urdu
Maa aisa lafz hai jo dono honton ke milaye baghair ada nahi kiya ja sakta
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa woh hasti hai jo khod to garmi bardasht karti hai magar aulad ko is takleef se bachanay ki koshish karti hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Mout ki agosh mein jab thak ke so jati hai maa
tab kahin ja kar! thora sakoo paati hai maa
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa ki mohabbat woh gehra samandar hai, jis ki geherai ko aaj tak koi naap nah saka aur nah hi naap sakay ga
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa ki mohabbat himalaya ka woh pahar hai ke jis ki bulandiyon ko aaj tak koi chhoo saka aur nah chhoo sakay ga
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa ke bagair ghar hamesha wera nazar aata hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa ki mohabbat woh sada bahhar phool hai jis par kabhi khizaa nahi aati, maa to aulaad par qurbaan ho jaya karti hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Har rishte ki mohabbat ko alfaaz mein bayan kya ja sakta hai
magar maa ki mohabbat naqabil bayan hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa ki Azmat aur barayi ka saboot is se barh kar aur kya hoga ke rab kareem jab insaan se apni mohabbat ka daawa karta hai to is ke liye maa ko misaal banata hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa woh hasti hai jo aulad ki khatir sardiyoon ki
thandhi aur lambi raatain jaag kar guzaar deti hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa woh hasti hai jo apni khwahisaat qurbaan kar ke aulad ki khwahisat ko pura karne ki koshish karti hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa woh hasti hai jo apne mun ka niwala bhi aulaad ke mun mein day kar khush hoti hai aur khud bhukhi so jati hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa woh hasti hai jo aulad ko garam-o-naram bistar par luta kar
khud thanday farsh par late jati hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa wo hasti hai jo shuhar ki wafaat ke baad bhi
aulaad ko darbadar bhatakne nahi deti
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa wo hasti hai jo karz ki chuki mein pِis kar bhi
aulad ki farmaishon ko poora karti hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa woh hasti hai jo aulaad ki thori si takleef par bhi tarap jati hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa woh hasti hai jo brtan dho kar logon ke gharon ki safiyan karkay apni aulaad ka pait paalti nazar aati hai
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Maa woh hasti hai jo mazoor aur lachar aulad tak ko bhi be sahara nahi chorthee
~ MAA ~
maa quotes in urdu
Duniya mein khuda ki mohabbat ka dosra roop maa hai. insaan jab is duniya mein aata hai to aik maa hi hoti hai jo usay sab se ziyada apnaaiyat deti hai. jannat maa ke qadmon ke neechay hai se morad hai saari ibadaten mil kar bhi maa ki khidmat ke barabar nahi ho sakteen
~ MAA ~


Post a Comment

أحدث أقدم

ads